Monday, March 17, 2008

Maloom nahi yah aazmaish kab khatam ho gi --- abhi kuch dair pehlay mujay asiay laga kah shaed mera dil is boj ore gham say phat jaey --- Allah na karay kah is kay baad bhi mujay kisi ore aazmaish say guzarna paray --- Laikin kuch gair-unjan say khoof is bay tarah mujay pareshan keay daytay hain kah unka bayan na mumkin --- In waswason kay darmeyan yon akalay baithna parashani ko mazed do-chand keay dayta hay --- Andayshay hain kah barhay chalay jatay hain --- yon na ho jaey --- woon na ho jaey --- dil ajaeb tarah pareshan hay --- andayshon ko zuban per latay hoay darta hoon --- kah Khudanakhoasata --- dil per is boj ko kab tak bardasht karon? Ujab baychaini hay --- Ab mazed kuch bhi bura sunny ki himat nahi --- Allah karin kah is mushkil waqt ka jald ikhtatam ho --- ore mayri aazmaish jald khairat say unjam ko pohunchay.

ps: ab mayray aasaab taqreban jawab day chukay hain --- 1.5 saal aasab ko tornay phorany k liyay koi kam ursa nahi hota --- in sab haalaat ka zamadaar kon hay? Is sawal ka sahi jawab mayray pass nahi hai --- ore shaed kabhi ho bhi na --- kia pata main khod hee??? aj 1.5 saal baad khala main takti howi mujay apni in ankhon main nami bohat kuch jitati howi mahsos hoti hai --- is baat ka saboot hai kah bas --- ab mazed ki taab nahi muj main --- tot phot chuka hoon --- mazed nahi sah sakon ga ---

5 comments:

Anonymous said...

Awww ... I sincerely hope and pray that this phase ends.

At times, Allah make us go through harshest of things but it gets rewarded .. it does. Ask Allah, pray to him .. he answers.

May Allah be with you!!

Anonymous said...

Amen - GH

Anonymous said...

quit with the depressive posts will you?

Anonymous said...

Roger boss! - GH

gh said...

O yah main kia likhta raha hoon! Hay'raan hoon.